Voice + AI + Screens

Bolo aur bill ban jaaye — internet ke bina bhi

Billing, stock aur hisaab ek Android app mein. Hinglish mein bolo ya tap karo, GST bill turant banao aur WhatsApp par bhejo.

  • Offline chalta hai
  • Hinglish + 12 bhashayein
  • Free plan

Dukaan ka poora kaam, ek app mein

  • Bolkar billing

    "Do Crocin aur ek Dolo" bolo — app item dhoondh kar bill bana deta hai, aap confirm karo.

  • Internet ke bina

    Billing, stock aur reports phone par chalte hain. Net aane par data apne aap sync.

  • GST bill

    GSTIN ho to tax invoice, nahi to Bill of Supply. GST reports bhi app mein.

  • Apni bhasha mein

    Hinglish default, saath mein English, Hindi aur 10 aur Indian bhashayein.

  • WhatsApp par bill

    Bill ka PDF seedha customer ke WhatsApp par. Bluetooth thermal printer bhi chalta hai.

  • Stock aur khata

    Kam stock, expiry aur udhaar (khata) ek nazar mein.

11 tarah ki dukaanon ke liye bana

Har dukaan ki apni bhasha, apne fields aur apni reports.

Shuru karna aasaan hai

  1. APK download karo

    Download page se app install karo. Account banana zaroori nahi.

  2. Dukaan aur bhasha chuno

    Apni dukaan ka type aur bhasha chuno; app usi hisaab se set ho jaata hai.

  3. Bolo aur bill banao

    Mic dabao, items bolo, bill check karo aur save karo.

Simple pricing

  • Free

    Hamesha free, ek dukaan ke liye

    ₹0/mahina

    ₹0/saal

    • Unlimited bills, items aur customers
    • Hinglish mein voice billing
    • GST bill aur GST reports
    • Barcode scan, WhatsApp share, Bluetooth printer
    • Internet ke bina poora kaam
    • Hinglish, English, Hindi
    APK download karo
  • Sabse pasand

    Pro

    Backup aur kai phone ke liye

    ₹299/mahina

    ₹2,999/saal

    GST shaamil

    • Free ka sab kuch
    • Hamare server par automatic backup
    • Owner aur staff ke kai phone sync
    • Owner web dashboard (browser mein reports)
    • Priority WhatsApp support
    Demo ke liye baat karo
  • Enterprise

    Kai dukaanon wale business ke liye

    ₹2,499/mahina se, zaroorat ke hisaab se

    • Pro ka sab kuch
    • Kai branches
    • Dedicated account manager
    • Purane software se data migration mein madad
    • Custom reports (alag project fee)
    Demo ke liye baat karo

Aksar puchhe jaane wale sawaal

Kya yeh internet ke bina chalta hai?

Haan. Billing, stock, khata aur reports sab phone par chalte hain. Account banaya ho to internet aane par data apne aap sync ho jaata hai.

Kaunsi bhashaon mein chalta hai?

Hinglish default hai. Saath mein English, Hindi, Bengali, Gujarati, Kannada, Malayalam, Marathi, Odia, Punjabi, Tamil, Telugu aur Urdu.

Bolkar bill kaise banta hai?

Mic dabao aur items bolo, jaise "do Crocin aur ek Dolo". App aapke stock mein item dhoondhta hai, bill dikhata hai, aur aap check karke save karte ho.

Kaunsi dukaanon ke liye hai?

Pharmacy, kirana, kapde, jewellery, footwear, electronics aur mobile, IT aur computer, home aur furniture, hardware, automotive, aur food/bakery.

Kya GST bill banta hai?

Haan. GSTIN set ho to tax invoice banta hai, nahi to Bill of Supply. GST reports bhi app mein milti hain.

Mera data kahan rehta hai?

Aapke phone par. Account banane par data hamare server par bhi sync hota hai taaki backup rahe aur kai phone saath chal sakein. Data aapka hai — aap kabhi bhi export ya delete kar sakte ho.

Aaj hi free mein shuru karo

Free plan mein billing, stock aur reports ki koi limit nahi.